har shorish-e-masti ka afsana nahin banta har tute hue dil se paimana nahin banta dil josh-e-tajassus mein ho jata hai diwana jalwon ke banane se diwana nahin banta tamir ka ye pahlu hai aabla-pai mein gulshan ke ujadne se virana nahin banta ashkon ko zara pi kar sine ka bharam dekho chhalke hue saghar se mai-khana nahin banta be-soz-e-talab 'jauhar' khud un ki nazar se bhi unwan to banta hai afsana nahin banta