harf su-e-lab-e-izhaar nikal hi aaya khana-e-qaid se ayyar nikal hi aaya dastakon mein wahi andaz tha waqfa tha wahi halqa-e-dard se bimar nikal hi aaya puchhne aaya hai wo aakhiri khwahish meri aakhirash mauqa-e-izhaar nikal hi aaya tang tha lamha-e-ishrat ki rajaz-khwani se gham sanbhaale hue talwar nikal hi aaya rakhna-andaz hui shorish-e-zanjir bahut phir bhi main tod ke diwar nikal hi aaya sochte hi nahin arbab-e-junun is ke siwa zikr-e-lal-e-lab-o-rukhsar nikal hi aaya main na kahta tha ki ho jaengi aankhen patthar aaina jaanib-e-bazar nikal hi aaya shakh-e-gul tak thi ba-zahir to koi rok na tok badh gae hath to ek khar nikal hi aaya