hain nikhat-e-gul bagh mein ai baad-e-saba hum dam bhar mein numudar hain dam bhar mein fana hum tashrif to le aaen wo ruthe rahen hum se jhagda to mite sulh bhi ho jaegi baham hum tere shanasa hain hamein ghair se kya kaam aagah kisi se bhi nahin tere siwa hum puchha tha ye main ne ki mitaega mujhe kaun qismat abhi khamosh thi jo us ne kaha hum wo kahte hain dawa hai use hosh-o-khirad ka 'bekhud' ko pilaenge mai-e-hosh-ruba hum