hum ki tajdid-e-ahd-e-wafa kar chale aabru-e-junun kuchh siwa kar chale khud to jaise kati zindagi kat li han nae daur ki ibtida kar chale zard suraj ki mashal bhi kajla gai chand taron ko bhi nind si aa gai ab kisi ko agar raushni chahiye apni palkon pe shamen jala kar chale haal apna har ek se chhupate rahe zakhm khate rahe muskuraate rahe teri tashhir hum ne gawara na ki dard-e-dil hum tera haq ada kar chale lakh ilzam par hum ko ilzam do aur tar-damani ke fasane kaho tum mein aisa bhi koi to ho dosto do-qadam hi sahi sar utha kar chale chot jo bhi padi thik dil par padi us pe bhi hum ne tark-e-talab to na ki hum to mit ke bhi ai gardish-e-asman tere shane se shana mila kar chale