hairat se takta hai sahra barish ke nazrane ko kitni dur se aai hai ye ret se hath milane ko sat suron ki lahron pe halkore lete phul se hain ek madhosh faza sunti hai ek chidiya ke gane ko bolti ho to yun hai jaise phul pe titli dolti ho tum ne kaisa sabz kiya hai aur kaise virane ko lekin un se aur tarah ki raushniyan si phut padin aansu to mil kar nikle the aankh ke rang chhupane ko jaise koi jism ke andar diwaren si todta hai dekho is pagal wahshi ko roko is diwane ko