hain sham hi se ranj-o-qalaq jaan par ab to

hain sham hi se ranj-o-qalaq jaan par ab to
hum ko nahin ummid ki pakden sahar ab to

diwana koi hoe to ho us ki bala se
apne hi pari-pan pe padi hai nazar ab to

sae se chahak jate the ya phirte ho shab bhar
wallah ki tum ho gae kitne nidar ab to

jaan ko to khabar bhi nahin upar hi se upar
dil le gai is shokh ki nichi nazar ab to

mai-khana-o-mai-e-ishq-e-butan aur ye sin-o-sal
'tanwir' khuda ka bhi zara khauf kar ab to


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close