karam kuchh is tarah se katib-e-taqdir karta hai saza dene mein bandon ko sada takhir karta hai ajab diwangi-e-shauq se tadbir karta hai koi to hai musalsal jo mujhe tamir karta hai pahunchti hai kahan aawaz un unche makanon mein koi mahrumiyon ko nala-e-shabgir karta hai mujhe gumnam rahne hi nahin deta kisi surat wo chaaragar mere zakhmon ki yun tashhir karta hai amir-e-waqt kis manzil mein pahuncha hai junun tera nida-e-subh-e-nau ko halqa-e-zanjir karta hai laga do bandishen shahr-e-dil-ara ke makinon par wahi bas khwab dekhe khwab jo tabir karta hai khabar bhi hai tujhe ai husn-e-be-parda sar-e-mahfil teri surat ko aankhon mein koi taswir karta hai khata karta hun jaise main koi lagta hai yun mujh ko tujhe jab yaad rakhne mein ye dil taqsir karta hai suno ai hakim-e-dauran moarrikh waqt hai aisa wo jo kuchh dekhta hai bas wahi tahrir karta hai dilon par hukmrani yunhi 'ashhar' ki nahin qaem mohabbat ki sabhi ke nam wo jagir karta hai