hain ye sare jite-ji ke waste kaun marta hai kisi ke waste aadmi sahta hai kya kya zillaten nafs-e-mardud-e-shaqi ke waste hum bhi jaenge sulaiman tak kabhi arz karne ek pari ke waste dar-ba-dar kuchon mein hum bhi phir chuke ek husn-e-khangi ke waste kisht-zar-e-zafran se kam nahin rang-e-zard apna hansi ke waste kyun diye hain tu ne qassam-e-azal ranj lakhon ek ji ke waste do zakat-e-husn kuchh darwesh ko hain bade rutbe sakhi ke waste ek se ek hain ek se le lakh tak saf-shikan mard-e-jari ke waste gham ne is darja kiya dil mein hujum ja nahin hai khurmi ke waste aur kya ho yar ki aankhon se kaam khulq hain jadugari ke waste yaad rakhna shart aur mashrut hai aadamiyat aadmi ke waste ranj-o-andoh-o-malal-o-dard-o-gham sadme hain ye aadmi ke waste sabza-e-madfan uga tha kyun falak aahuon ki kya chari ke waste lad gae wo ek zara si baat mein pahron ruthe ek ghadi ke waste ji na ghabrae tera be-mashghale ishq kar le dil-lagi ke waste kya mujhe paida kiya hai ai khuda in buton ki bandagi ke waste be-kasi mere liye paida hui main bana hun be-kasi ke waste bola murgh-e-nama-bar ko kar ke zabah ye saza hai elchi ke waste dhugdugi mein jaan atki hai meri hae kis champa-kali ke waste baryab-e-khalwat-e-mahbub hai kya sharaf hai aarasi ke waste marqad-e-tira mein kafi hai mujhe dagh-e-sauda raushni ke waste kijiye har dam abas tan-parwari ai ajal kis zindagi ke waste khama-e-qudrat ne khinchin wo bhawen rasti ye hai kaji ke waste hashr ke din 'rind' ko bakhshaiyo ya-ali ruh-e-nabi ke waste