harf ke phul chun ke late the roz taza ghazal sunate the dard ki suraton mein ek ghar tha us ki viraniyan sajate the zindagi diary mein likhte the aur phir diary jalate the ek shajar tha jo us ke jaisa tha us ko hum haal-e-dil sunate the ab andhere mein baithe rahte hain pahle aksar diye jalate the us ke lahje ki zad mein aate hi kanch ke khwab tut jate the zindagi ki gali mein bhi kuchh log maut ka git gungunate the apne gham se kashid kar ke hansi khud hi apna fareb khate the be-niyazi bhi ek neamat thi yaad karte hi bhul jate the aansuon mein bhigo ke rakhte the phul to phir bhi sukh jate the zindagi se kabhi mili ho 'sahar' kuchh bulawe to tum ko aate the