hairan ho raha hun basirat ke nam par

hairan ho raha hun basirat ke nam par
main dekhta kuchh aur hun manzar kuchh aur hai

mujh ko sitara aur koi khinchta hai kyun
mera ilaqa aur hai mehwar kuchh aur hai

patthar samajh raha hai zamana to kya karun
mutthi mein meri jab ki munawwar kuchh aur hai

tasir-e-khak aaegi alfaz mein mere
dil mein hai aur baat labon par kuchh aur hai

'alam' mujhe bharosa nahin zaichon pe ab
is mein likha tha aur mayassar kuchh aur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close