inkar kise, auj-e-qamar tak nahin pahuncha insan magar dil ke nagar tak nahin pahuncha uttha to har ek jhukti hui shakh ki jaanib hath apna kisi shakh-e-samar tak nahin pahuncha tufan ki zad par hai agar shahar use kya wo khush hai ki pani abhi ghar tak nahin pahuncha har rah liye jati hai ek band gali tak rasta koi us shokh ke dar tak nahin pahuncha dam bharta raha apni wafaon ka jo 'mukhlis' wo shakhs to lene ko khabar tak nahin pahuncha