hairan hun do aankhon se kya dekh raha hun tute hue har dil mein khuda dekh raha hun nazron mein teri rang naya dekh raha hun hathon mein bhi kuchh rang-e-hina dekh raha hun rukh un ka kahin aur nazar aur taraf hai kis samt se aati hai qaza dekh raha hun phir lai hai barsat teri yaad ka mausam gulshan mein naya phul khila dekh raha hun tu aae na aae magar aati hai teri yaad yaadon mein tujhe aabla-pa dekh raha hun ye kaisi siyasat hai mere mulk pe hawi insan ko insan se juda dekh raha hun kaghaz pe hue mere watan ke kai tukde punjab ki banhon ko kata dekh raha hun takhliq na sambhali to bane log muhaqqiq ghaalib ka hua haal ye kya dekh raha hun kal tak jo diye mahfil-e-yaran mein the raushan aaj un ko sitaron mein chhupa dekh raha hun