is kadi dhup mein saya kar ke tu kahan hai mujhe tanha kar ke main to arzan tha khuda ki manind kaun guzra mera sauda kar ke tirgi tut padi hai mujh par main pashiman hun ujala kar ke le gaya chhin ke aankhen meri mujh se kyun wada-e-farda kar ke lau iradon ki badha di shab ne din gaya jab mujhe paspa kar ke kash ye aaina-e-hijr-o-visal tut jae mujhe andha kar ke har taraf sach ki duhai hai 'nasir' sher likhte raho sachcha kar ke