junun-e-shauq ko diwana-pan kahna hi padta hai yahan to rahbar ko rahzan kahna hi padta hai tasawwur ko tere jalwa-fagan kahna hi padta hai hamein tanhai ko bhi anjuman kahna hi padta hai ye majburi ye mayusi ye pabandi are tauba musibat mein qafas ko bhi chaman kahna hi padta hai kuchh is andaz ke mujh se mujhe aazar pahunche hain har ek se qissa-e-ranj-o-mehan kahna hi padta hai mitane mein mere koi kami tu ne na ki lekin tujhe is par bhi ruh-e-jaan-o-tan kahna hi padta hai jidhar dekha hazaron zindagi se hath dho baithe tere abru ko tegh-e-saf-shikan kahna hi padta hai maal-e-baryabi kya bataun mukhtasar ye hai ki sham-e-gham ko bhi subh-e-watan kahna hi padta hai