haiwaniyat ka zahar dilon mein utar gaya basti se apni kaun sa mausam guzar gaya unche makan wale jo the saf bach gae ilzam-e-qatl sara gharibon ke sar gaya didar ho raha tha mujhe un ka khwab mein aankhen khulin to khushnuma manzar bikhar gaya hairat-zada hain log mera azm dekh kar main pech-o-kham ki rah pe chal kar sanwar gaya zaten tamam firqa-parasti mein bat gain 'waqif' talash karta hai insan kidhar gaya