halki si bhi kanon mein sada tak nahin aati gulzar mein ab baad-e-saba tak nahin aati sab bhul gai jaise sabaq sharm-o-haya ke ab sar pe nazar us ke rida tak nahin aati kuchh aisi khafa mujh se meri jaan hui hai ab haal mera karne pata tak nahin aati main us ko manaun bhi to kis tarah manaun batlane mujhe meri khata tak nahin aati taslim tujhe kaise wafadar main kar lun lahje se tere bu-e-wafa tak nahin aati har khidki talluq ki muqaffal hai abhi to kamre mein mohabbat ki hawa tak nahin aati hain hosh mein pi kar teri mastana nazar se rindon ko bahakne ki ada tak nahin aati kyon us se hai ummid-e-wafa aap ko 'alam' jab karni use mashq-e-jafa tak nahin aati