manzil se pahle hi chalna chhoD diya

manzil se pahle hi chalna chhod diya
mujh ko us ne rah mein tanha chhod diya

phenk di us ne hath se jab talwar to phir
main ne bhi dushman ko zinda chhod diya

murjhae murjhae se hain shakhon par
phulon ne kyon jaane khilna chhod diya

daur-e-taraqqi tere sadqe chhoton ne
apne badon ki izzat karna chhod diya

us dipak ko kaun bujhane wala hai
jis dipak ko main ne jalta chhod diya

tab se hi to sukh gaya hai wo dariya
jab se tum ne is mein nahana chhod diya

gardish hi to sath hamare rahti thi
gardish ne bhi sath hamara chhod diya

ek mamuli pinhaaran ki chahat mein
shahzade ne shahar-e-bukhara chhod diya

'alam' jab se us ne nazren pheri hain
aankhon ne bhi khwab sajaana chhod diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close