jahan mein ab kisi ka bhi kisi ko dar nahin raha khuda khuda nahin raha bashar bashar nahin raha kisi ke dard ka yahan ilaj hi nahin koi dawa hi kya dua mein bhi koi asar nahin raha machine ban gaya hai aadmi gham-e-maash mein dhadakta dil pighalta us ka ab jigar nahin raha shajar shajar jhulas gaya alam ki tez dhup mein jo hum ko chhanw de kahin koi shajar nahin raha bike hue hain sajde ab har aastan hai ek dukan khulus jis jagah jhuke wo sang-e-dar nahin raha gunah kya sawab kya jab aa gaya tere huzur saza jaza ka 'sehr' ko koi khatar nahin raha