ham-jins agar mile na koi aasman par behtar hai khak daliye aisi udan par aa kar gira tha koi parinda lahu mein tar taswir apni chhod gaya hai chatan par puchho samundaron se kabhi khak ka pata dekho hawa ka naqsh kabhi baadban par yaro main is nazar ki bulandi ko kya karun saya bhi apna dekhta hun aasman par kitne hi zakhm hain mere ek zakhm mein chhupe kitne hi tir aane lage ek nishan par jal-thal hui tamam zamin aas-pas ki pani ki bund bhi na giri saeban par malbus khush-numa hain magar jism khokhle chhilke saje hon jaise phalon ki dukan par saya nahin tha nind ka aankhon mein dur tak bikhre the raushni ke nagin aasman par haq baat aa ke ruk si gai thi kabhi 'shakeb' chhaale pade hue hain abhi tak zaban par