hawa-e-shab se na bujhte hain aur na jalte hain kisi ki yaad ke jugnu dhuan ugalte hain shab-e-bahaar mein mahtab ke hasin sae udas pa ke hamein aur bhi machalte hain asir-e-dam-e-junun hain hamein rihai kahan ye rang o bu ke qafas apne sath chalte hain ye dil wo kargah-e-marg-o-zist hai ki jahan sitare dubte hain, aaftab dhalte hain khud apni aag se shayad gudaz ho jaen parai aag se kab sang-dil pighalte hain