ham-kalami mein dar-o-diwar se kitne jazbe rah gae izhaar se dhup badhte hi juda ho jaega saya-e-diwar bhi diwar se hijr ka lamha mukammal ho gaya raushni jab kat gai minar se tut kar bikhre khud apne sog mein dil laga kar dard ke rukhsar se nim-wa galiyan chura kar lai hain kaisa sapna dida-e-bedar se kitne hi mayus lamhon ke bhanwar hum ne nape zehn ke parkar se umr bhar 'tariq' ulajhte hi rahe jism ki girti hui diwar se