marhala did ka takrar tak aa pahuncha hai tur se chal ke junun dar tak aa pahuncha hai baat aa pahunchi hai andesha-e-ruswai tak jazba-e-dil lab-e-izhaar tak aa pahuncha hai shoala-e-ishq jo raushan hai mere sine mein rang ban kar tere rukhsar tak aa pahuncha hai ehtiyatan teri nazron ne chhupaya tha jise wo fasana lab-e-aghyar tak aa pahuncha hai ab nahin dil mein tamanna ka nishan tak baqi aaina aks-e-rukh-e-yar tak aa pahuncha hai shama ne le liya aaghosh mein parwane ko jab ye dekha mere mear tak aa pahuncha hai un ki sarshaar nigahon ka tasawwur jaise mai-kada khud lab-e-mai-khwar tak aa pahuncha hai mutmain wusat-e-daman-e-lahad mein hai 'tufail' rah-rau jaise dar-e-yar tak aa pahuncha hai