har dil se numayan hain aasar mohabbat ke

har dil se numayan hain aasar mohabbat ke
mushtaq hain aaine lakhon teri surat ke

mustaghni-e-duniya hain muhtaj inayat ke
hashmat ke nahin talib khwahan nahin izzat ke

shamshir-e-taghaful se dil ke na karo tukde
khul jaenge duniya par asrar mohabbat ke

dekhi na gai ahl-e-isyan ki pareshani
qurban tarahhum ke sadqe teri rahmat ke

ek qissa-e-parina hai qais ka afsana
dhundle na hon kyon zarre sahra-e-mohabbat ke

aalam-o-masaib hain monis shab-e-tanhai
mamnun hon hum kahiye kis kis ki inayat ke

nairangi-e-ulfat ne dala hai kashakash mein
jite hain na marte hain bimar mohabbat ke

yusuf ki zulekha par kya khak nazar padti
the dida-e-bina mein jalwe teri qudrat ke

izhaar-e-taghaful bhi khwahan-e-adab nikla
karna tha gila hum ko parde mein mohabbat ke

pahlu nazar aate hain ye turfa-tamasha hai
iqrar-e-mohabbat mein inkar-e-mohabbat ke

wo aae jo turbat par to hashr bapa hoga
aaenge nazar hum ko aasar qayamat ke

'masud' hasinon ko dil mein na jagah dena
kuchh der nahin lagti aane mein tabiat ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close