is qadar bhi dil nahin tuta hua kuchh simat sakta na ho bikhra hua kab talak khud ko yahi kahta rahun dil pe mat le jo hua achchha hua kaun se manzar pe thahre aankh bhi sab nazar aata hai bas dekha hua hum yaqin kar ke use padhte rahe jo bhi tha harf-e-guman likkha hua sab marasim rakh gaya dahliz par dil giraftar-e-ana hota hua jaane kis gham ko rihai de rahe aankh mein jo ashk hai aaya hua waqt kitne zor se hansne laga ishq jab sharton pe aamada hua hae tark-e-ishq par us ka ye tanz der hi se han magar achchha hua ab use ye bhi nahin hai yaad tak hai wo kis kis ko kahan bhula hua wo jise kuchh bhi na hota tha use baad tere puchh mat kya kya hua chal 'amar' us shakhs ko ja kar milen wo nahin milta agar to kya hua