sar ko nausha ke mere shah ne bandha sehra sura-e-nur ka dikhlata hai jalwa sehra rish yaqub ne rakkhi hai rukh-e-yusuf par chashm-e-bad-dur ki hai zulf-e-zulekha sehra bagh-e-ulfat se hasinon ne jo kaliyan bini us pari ke liye pariyon ne banaya sehra jadwalen sone ki yaqut raqam ne khinchi ya hai mushaf pe sar-e-lauh mutalla sehra jalwa-e-tur ka musi ko guman ho jata mere nausha jo zara dekhte sar ka sahra shoala-e-husn jo un ka na chhupa sehre mein ijz se aap ko qadmon pe giraya sehra pote padpoton ke tum bandhiyo sar ko sehre jaisa baba ne tumhaare tumhein bandha sehra hub ka tawiz bane phul har ek sehre ka wasl-e-yar us ko ho jis ne tera dekha sehra uftada bhi hai ye aur bada shokh bhi hai gul-e-rukhsar ka le leta hai bosa sehra sehra jo bandhte hain hind mein naushahon ko chashm-e-bad ke liye shayad hai ye nikla sehra panja-e-mehr se zohra ne balaen le lin jab 'nasim'-e-chaman-e-shauq ne likkha sehra