ham-zad hai gham apna shadan kise kahte hain waqif nahin ishrat ka saman kise kahte hain bimar-e-mohabbat hain hum tarik-e-rahat hain na-waqif-e-sehat hain darman kise kahte hain muddat se ye saman hai tan shoala-e-uryan hai kya chiz gareban hai daman kise kahte hain mathe pe pasina hai qudrat ka tamasha hai taron ki jhamak kya hai afshan kise kahte hain dil de ke jafa sahiye aafat mein phanse rahiye dana jo hamein kahiye nadan kise kahte hain jab yar ne dekha hai ek zakhm lagaya hai sau tiron ka dasta hai mizhgan kise kahte hain us turk ki palkon se mahfuz khuda rakkhe bar katte hain tiron ki paikan kise kahte hain dil ki jo zaraat hai khar-o-khas-e-zahmat se ek qatre ki hasrat hai baran kise kahte hain sach kahte hain ye zirak hai ishq-e-junun be-shak waqif na the hum gul tak zindan kise kahte hain har-waqt hai be-zari har dam hai jafakari dil-jui-o-dildari-e-jaanan kise kahte hain rukhsar ka shaida hun kya gul ko samajhta hun mahw-e-khat-e-zeba hun raihan kise kahte hain muddat se hai dil barham sohbat se nahin mahram aazad hain ghar se hum mehman kise kahte hain jate hain kabhi dargah shiwale mein bhi hai rah mazhab se nahin aagah iman kise kahte hain haidar se tawalla hai rahmat ka bharosa hai ai 'bahr' khata kya hai isyan kise kahte hain