tu aashiqon ke tain jab se qatl-e-naz kiya khushi hain minnat-e-jaan se to be-niyaz kiya kahan ki aql kidhar ke hawas kaisa hosh khirad ke qasr pe tu ne to tark-e-naz kiya hamare kalba-e-ahzan mein kar qadam-ranja nihaal hum ko tu ai sarw-e-sarfaraaz kiya kiya tha tegha-e-abru ne mukhtasar qissa pa teri kakul-e-mushkin ne phir daraaz kiya dil aur laun kahan se lage jo auron se jo ek dal tha so wo to teri niyaz kiya ye tifl-e-ashk mera 'azfari' hai nashudani jawana-marg meri us ne fash raaz kiya