hama-waqt jo mere sath hain ye ubharte dubte sae se kisi raushni ke sarab hain ki mile har apne parae se kham-e-jada se main piyaada-pa kabhi dekh leta hun khwab-sa kahin dur jaise dhuan utha kisi bhuli-bisri sarae se uthi mauj-e-dard to yak-ba-yak mere aas-pas bikhar gae mah-e-nim-shab ke idhar udhar jo laraz rahe the kinae se mila mujh ko rah mein ek nagar jahan koi shakhs na tha magar wo zamin shagufta shagufta si wo makan nahae nahae se mere kar-zar-e-hayat mein rahe umr-bhar ye muqable kabhi saya dab gaya dhup se kabhi dhup dab gai sae se