hamari tabahi mein kuchh us ka ehsan bhi hai jo dard in dinon wajh aaraish-e-jaan bhi hai yahi fasl kaliyan jhulasti hain jis fasl mein suna hai naya nam is ka bahaaran bhi hai bikhera gaya hai lahu un ke eazaz mein bahaaron mein khushbu-e-khun-e-shahidan bhi hai un aankhon ki taqdir ab ashk-rezi hui aur ashkon ki taqdir mein rang-e-marjaan bhi hai agar raat kat jae to khush-nasibi kaho fazaon mein andesha-e-baad-o-baran bhi hai