kab nigah us ki ishwa-bar nahin kab nigahen karishma-zar nahin ghair par rahm ye kise aaya tum to mana sitam-shiar nahin yan fughan se lahu tapakta hai main nawa-sanj-e-shakhsar nahin kulfat-e-dil se hai jo aaluda gauhar-e-ashk aabdar nahin hum hain aise farakh-ru darwesh mahfil-e-padshah se aar nahin na jala khana-e-adu to na hans shola-e-ah hai sharar nahin bagh be-sarfa chal ke kya kije jin se thi bagh ki bahaar nahin baada behuda pi ke kya kije ab wo saqi nahin wo yar nahin ai munajjam abas ye nadani tu kuchh andaza-dan-e-kar nahin tu rawish-yab-e-mehr-o-mah ghalat tu ada-sanj-e-rozgar nahin waqif asrar-e-asmani se juz harifan-e-baada-khwar nahin chadh gae hain kisi ke phir dam par 'shefta' aaj be-qarar nahin