hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jae

hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jae
ye wo nahin jo kisi rahguzar ka ho jae

usi ko jine ka haq hai jo is zamane mein
idhar ka lagta rahe aur udhar ka ho jae

khuli hawaon mein udna to us ki fitrat hai
parinda kyun kisi shakh-e-shajar ka ho jae

main lakh chahun magar ho to ye nahin sakta
ki tera chehra meri hi nazar ka ho jae

mera na hone se kya farq us ko padna hai
pata chale jo kisi kam-nazar ka ho jae

'wasim' subh ki tanhai-e-safar socho
mushaera to chalo raat bhar ka ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close