hamara dil wo gul hai jis ko zulf-e-yar mein dekha jo zulfen ho gain barham gale ke haar mein dekha bhala gul kya tera ham-sar ho jis ki ye haqiqat hai abhi gulshan mein dekha tha abhi bazar mein dekha basirat jab hui paida hamein mashq-e-tasawwur se jo kuchh khalwat mein dekha tha abhi bazar mein dekha chaman mein ek but-e-nazuk-ada mahw-e-tamasha hai naya gul aaj hum ne daman-e-gulzar mein dekha 'jalil' ek naz ki qimat dil o jaan din o iman hai ajab andaz hum ne husn ke bazar mein dekha