kyon khafa rashk-e-hur hota hai aadmi se qusur hota hai mai-e-ulfat se phir gaya jo dil surat-e-shisha chur hota hai khak-e-ashiq se jo darakht uga tur hota hai nur hota hai jis ko dekha wo is zamane mein apne nazdik dur hota hai khaksari wo hai ki zarron par roz baran-e-nur hota hai kis ki leta nahin khabar rawaq aaludgi na-subur hota hai ai hawas nan-e-dagh bas na laga garm tufan tanur hota hai kashti-e-mai nahin to ai saqi bahr-e-gham se ubur hota hai bagh mein jao jate ho jo 'nasim' subh ko wo zarur hota hai