hamara ishq hai tafriq in-o-an se buland zamin-nashin hain magar hain hum aasman se buland bahaar khak-ba-daman hai pastiyon mein abhi chaman agarche umidon ka hai khizan se buland hayat-e-qatra hai dariya ke sath wabasta wo ud gaya jo hua mauja-e-rawan se buland khiram-gah-e-nigaran agar nahin na sahi magar main dil ko samajhta hun kahkashan se buland mazaq-e-ishq nahin pa-e-band-e-dair-o-haram hamara maslak-e-din hai har aastan se buland 'salam' hansti hui bijliyon ka tod ye hai ki aashiyan mein raho fikr-e-ashiyan se buland