hamara khun hai ye surkh aab thodi hai ye ek zinda haqiqat hai khwab thodi hai chamak raha hai hamari mohabbaton ke sabab wagarna chehra tera mahtab thodi hai sitam jo hum pe kare hum kahen use apna koi dimagh hamara kharab thodi hai ganwa den kyon bhala sanson ko hum bila maqsad hamari zist hai koi itab thodi hai khizan ki garm hawaen hi chhin len 'amir' hamara haq hai gulon ka shabab thodi hai