humse puchhe koi chahat ka saza ho jaana

hum se puchhe koi chahat ka saza ho jaana
narm guftar ka patthar ka khuda ho jaana

jab main unwan-e-mohabbat pe koi nazm likhun
tum mahakte hue lafzon ki qaba ho jaana

nam khwabon ki salibon pe na likhiye mera
meri fitrat hai haqiqat pe fida ho jaana

main ne puja tha tumhein dard-e-mohabbat ke sabab
tum se ye kis ne kaha tha ki khuda ho jaana

dasht-e-tufan mein agar mera safina dekho
tum meri man ki tarah mahw-e-dua ho jaana

ab takalluf se koi kaam na lena 'amir'
jab wo tum se hon khafa tum bhi khafa ho jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close