hum apne aapko itna badal nahin sakte

hum apne aap ko itna badal nahin sakte
tumhaare kahne se chehra badal nahin sakte

badalna chahen agar kya badal nahin sakte
magar jo haal hai dil ka badal nahin sakte

tumhaare waste yani badal chuke hain bahut
ab aur khud ko ziyaada badal nahin sakte

ajib log hain duniya badalna chahte hain
magar wo khud ko zara sa badal nahin sakte

dare hue hain samundar meri rawani se
magar wo chah ke rasta badal nahin sakte

hamari zat ko muddat mein ye hua hai nasib
ab apne jine ka lahja badal nahin sakte

alawa dukh ke teri qismaton mein hum bhi hain
nasib tera lihaza badal nahin sakte

wo ek duje se aankhen badalte rahte hain
jo log roz ka rona badal nahin sakte

badal raha hai rawayya zara zara hi sahi
ab ek din mein to sara badal nahin sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close