har ghadi khauf ke girdab mein rahna hi nahin ab mujhe halqa-e-ahbab mein rahna hi nahin main teri baat kara deta hun khud se lekin aankh kahti hai kisi khwab mein rahna hi nahin nam bhi leta nahin ab wo kahin jaane ka kal jo kahta tha ki punjab mein rahna hi nahin hum mulaqat ke auqat badha den lekin der tak chand ko talab mein rahna hi nahin wo to aise hi mujhe aap bulati hai 'hasan' jab ki mujh ko adab-adab mein rahna hi nahin