jahan tujh ko bitha kar pujte hain pujne wale wo mandir aur hote hain shiwale aur hote hain dahan-e-zakhm se kahte hain jin ko marhaba bismil wo khanjar aur hote hain wo bhaale aur hote hain jinhen mahrumi-e-tasir hi asl-e-tamanna hai wo aahen aur hoti hain wo nale aur hote hain jinhen hasil hai tera qurb khush-qismat sahi lekin teri hasrat liye mar jaane wale aur hote hain jo thokar hi nahin khate wo sab kuchh hain magar waiz wo jin ko dast-e-rahmat khud sambhaale aur hote hain talash-e-shama se paida hai soz-e-na-tamam 'akhtar' khud apni aag mein jal jaane wale aur hote hain