hamare azm-e-safar ke aage sawal-e-lail-o-nahaar kya hai gham-e-mohabbat utha liya hai to gardish-e-rozgar kya hai umid-e-farda pe jine walo hayat ka e'tibar kya hai utho ki manzil bula rahi hai chalo ki ab intizar kya hai bikharte phulon na hum se puchho hamein to ab yaad hi nahin hai chalo ye ahl-e-chaman se puchhen sukun kya hai qarar kya hai meri nigahon mein phir raha hai tera takallum tera tabassum meri nigahon se koi puchhe ye phul kya hai bahaar kya hai nazar se daman bacha bacha ke main dil ko aarif bana raha hun tumhaare jalwon ki manzilon mein nigah ka e'tibar kya hai bahaar-e-gul mein qadam qadam par shuur-e-kaamil ki hai zarurat bahaar un ke liye khizan hai jo ye na samjhe bahaar kya hai