us ka lahja karakht hota gaya dil hamara bhi sakht hota gaya zakhm ka ek nanha sa pauda rafta rafta darakht hota gaya tha safar yun to be-sar-o-saman shauq-e-manzil hi rakht hota gaya rahbari ka har ek alam-bardar khugar-e-taj-o-takht hota gaya teri khatir samet kar rakkha dil magar lakht lakht hota gaya ishq mein jis maqam se guzre marhala aur sakht hota gaya jis ne dekhe the khwab ujalon ke wo 'sukhan' tira-bakht hota gaya