qaid mein rakkha gaya qatra to ghaltan ho gaya nur ki nahron ko na-paida karan hona hi tha shohra haikal ke liye aawaza paikar ke liye har tawanai ko benam-o-nishan hona hi tha hum ne kuchh yun hi nahin jhela tha qarnon ka azab aakhir us dair-ashna ko mehrban hona hi tha tang jab kar di gai hum par zamin karte bhi kya laziman hum ko zamin se aasman hona hi tha kahkashan ki samt uthne the abad-paima qadam jaanib-e-sayyar tayyara rawan hona hi tha tha qafas mein bhi to tha fawwara-e-ahang-o-rang is parinde ko to jannat-ashiyan hona hi tha