hamein to jism se bahar khula sa lagta hai

hamein to jism se bahar khula sa lagta hai
ye jism ruh pe lipti rida sa lagta hai

har ek chehre pe kuchh rang hai kudurat ka
tamam shahr ka mausam khafa sa lagta hai

sukhan farebon ko rakhta hai wo aziz magar
mera khulus use be-maza sa lagta hai

wajud us ka munawwar hai us ki sirat se
wo aadmi hai magar aaina sa lagta hai

tumhaari zat pe karta hai jab koi tanqid
khuda hi jaane mujhe kyon bura sa lagta hai

amir-e-shahr ka kirdar hi nahin khulta
kabhi harif kabhi ham-nawa sa lagta hai

'niyaz' fikr dikhati hai jab kabhi eajaz
purana lafz bhi bilkul naya sa lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close