waqt ke kitne hi rangon se guzarna hai abhi zindagi hai to kai tarah se marna hai abhi kat gaya din ka dahakta hua sahra bhi to kya raat ke gahre samundar mein utarna hai abhi zehn ke reze to phaile hain faza mein har-su jism ko tut ke har gam bikharna hai abhi kaun hai jis ke liye ab bhi dhadakta hai dil kis ko is ujde jazire mein thaharna hai abhi ek ek rang uda le gai be-mehr hua kitne khake hain jinhen 'sham'-ji bharna hai abhi