har ek chiz ka is tarah kal padne laga mera watan mere dil ki tarah ujadne laga jise bigadna na tha wo bhi yun bigadne laga zamin phatne lagi aur darakht ukhadne laga kisi ko rota hua dekh kar jo roya hun main har nigah mein manind-e-khar gadne laga jagah jagah se palastar nizam-e-kohna ka ye bahs kahe ko hoti hai ab udhadne laga bahut dinon se mere shahr ke har ek ghar se sadaen aane lagi hain ki ghar ujadne laga hawaen tez thin 'iqbaal' aur kya karta yahi kiya ki hawaon se main bhi ladne laga