hamare haal-e-dil ki tum ko kuchh aise khabar hogi tumhaari aastin hogi hamari chashm-e-tar hogi hasin to aur bhi aa jaenge aaghosh mein lekin kahan ye marmarin bahen kahan aisi kamar hogi mohabbat hai kahan jab un se puchha hans ke yun bole yahan hogi wahan hogi idhar hogi udhar hogi kabhi to dad aaegi meri khatir bhi honthon par kabhi to shairi mein izzat-e-ahl-e-hunar hogi tumhaare nam ki tasir aisi hai 'bilal-ahmad' yaqinan zindagi ishq-e-mohammad mein basar hogi