is tarah masaib ka kar ke sadd-e-bab aae khwahishat ko apni hum kahin pe dab aae ye mera junun tha jo haar kar nahin baitha warna zindagani mein gham to be-hisab aae ek sang-dil mujh par mail-e-karam hai aaj hairati hun kikar par kis tarah gulab aae meri kaamyabi par jashn kyon manaega mera nam sunte hi jis ko pech-o-tab aae aap ki mohabbat ka aaj ho gaya qail ek phul ke badle sang be-hisab aae mushkilen huin aasan raste hue dushwar kat chuki saron ki fasl ab to inqalab aae ba-kamal the 'ambar' phir bhi hum rahe gumnam be-hunar ke hisse mein saikdon khitab aae