maqtal mein apni maut ka arman liye hue hum ja rahe hain zist ka saman liye hue aata hai koi dard ka darman liye hue ai bakht jag gardish-e-dauran liye hue ai waqt aaj phir se inhen tar-tar kar baithe hain hum bhi jaib-o-gareban liye hue nikle hain ashk zabt ke daman ko chir kar pahlu mein apne shorish-e-tufan liye hue bujh jaen phir na gor-e-ghariban ke ye charagh khauf-e-hawa se hain tah-e-daman liye hue jata hai kya harif su-e-ku-e-dost phir dam-e-hawas mein dana-e-pinhan liye hue kha li shikast fath-e-mubin ke yaqin se han 'nur' ab ke himmat-e-mardan liye hue