lau charagh-e-hasti ki har qadam pe larzan hai jab se tum gurezan ho zindagi pareshan hai qaid-e-be-salasil hai taeron ki aazadi ehtisab ho jis mein wo chaman bhi zindan hai pal rahe hain shakhon par khar ki tarah hum bhi aap ki bahaaren hain aap ka gulistan hai aur badhne wali hain zulmaten shab-e-gham ki in hasin ujalon mein kuchh fareb pinhan hain ek nazar ki fursat bhi aap ko nahin milti kab se mere hathon mein aarzu ka daman hai aa ke teri mahfil mein ho raha hai andaza zist kitni mushkil hai maut kitni aasan hai khun shah-rahon par khun tang galiyon mein 'soz' is zamane mein khun kitna arzan hai