ye taeron ne jo ek dusre ke nam liye

ye taeron ne jo ek dusre ke nam liye
zarur dasht mein aaya hai koi dam liye

na ho mizaj mein aisi bhi dur-andeshi
ki subh se koi nikle charagh-e-sham liye

koi ishaara na ho koi istiara na ho
tum us ka tazkira karna baghair nam liye

dayar-e-zat mein ehsas ki qalam-rau mein
faqir milte hain shahon ka ehtisham liye

samet le na kahin phir zamin se chadar-e-ab
chala hai phir wo samundar ki samt jam liye

rahin-e-chashm thi khwabon ki rah-guzar phir bhi
na chal saka koi be-tohmat-e-qayam liye

yahi kaha ki hain raazon se ba-khabar kuchh log
pate batae na us ne zaban se nam liye

darun-e-zat koi ghair aa nahin sakta
khadi hai dar pe ana tegh-e-be-niyam liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close